Wildlife Nukkad Natak

The children will enter while clapping loudly. They will sit in a circle and two of them will
come and stand in the middle.

1st kid: Jaanwaro ki hoti nahi humari jaisi bhasha
Par karna chahte hai woe k chhoti si asha
Aao hum inki bhasha ban jaate hai
Kyu hain ye pareshan aj tumko batlate hain

2nd kid: Dekhe hain humne kai janwar aise
Khatarnak bhaalu aur sher jaise
Jab hum rahene lagenge inko gharo me
To ye batao ye jayengein kahan pe

[The kids go n sit in the circle. Two other kids come in the middle]

3rd kid: (cutting an imaginary tree)

4th kid: Arey ye kya kar rahe ho?

3rd kid: Dikhta nahi? Main pedo ko kaat raha hu. Is jungle ko khatam kar ke isko ek kula
maidan bana raha hu.

4th kid: Magar aisa kaam tum kyu kar rahe ho? Agar in pedo ko kaat doge to ye chidiyan
kahan apna ghonsla banayengi? Ye apne aur apne bacho ke liye kahan se khaana layengin?

3rd kid: Uffo! Chidiyon ko bolo kahin aur ja ke ghonsla banaye. Kisi aur jagah se khana le kar
aayein.

4th kid: Aur wo janwar, unka kya? Wo jo yahan rehte hai, in pedo ki chhaon me. Yahin khate
hai, yahin sote hai. Unko kahan bhejein?

3rd kid: Arey mujhe kya pata? Ab jao yahan se aur mujhe apna kaam karne do.

4th kid: Magar in bezuban janwaron ko itni bada saza akhir kyu?

3rd kid: Kyunki is jungle ko kaat ke yahan hum bade-bade hotel aur ghar banayengein. Aur ye
jungle janwar to kahin bhi reh lenge.

[The kids go to the circle and the first one again comes up]

1st kid: Akhir bana hi li wahan imaratein
Jahan the bechare janwaro ka ghar
Kuch janwar to waha se bhaag gaye
Lekin kuch janwar wahin gaye marr

[The kid goes and three more kids come up]

5th kid: (acting as a bird which is thirsty and cannot fly. Finally drops down on the ground)

6th kid: Arey ye dekho, ye kya hai?

7th kid: Ye to wohi chidiya hai na jo sirf yahin humare desh me paayi jaati hai.

6th kid: Haan, lagti to wohi hai. Aur ye to ab khatam bhi hoti ja rahin hain.

7th kid: Mujhe to lagta hai ye aisi akhri chidiya hi hogi. Magar ye ud kyu nai rahi?

6th kid: Lagta hai kisi gaadi ki takkar ne isko chot pohunchayi hai.

7th kid: Bechari pedo ki kami ke kaaran se yahan sadak pe daana-paani ki talaash me ayi hogi
zarur.

6th kid: Chalo isko thoda pani pila ke dekhte hai. Arey iski aankhein to band ho rahi hai.
Kahin ye marr na jaaye.

7th kid: Oho, ye to marr gayi. Chalo ab isko le chal kar museum me de aate hai.

[They come back to the circle. The second kid goes up]

2nd kid: Khoonkhaar jaanwaro ko ab
Bhaagne ki bhi jagah na mili
Hotel aur imarat ke log to bache
Gaao aur jhopdi ki janta hi phansi

[The kid goes back and 3 kids come up]

8th kid: (talking on the phone) Hello, humare khet me siyaar ghus aaya hai.

9th kid: Arey wo lakadbaghha mera anaaj kha raha hai.

10th kid: Darwaze band karo wo bada sa jaanwar ghar me na ghus aaye.

8th kid: Ye sab janwar to mera khet barbad kar denge.

[2-3 more kids join them and all start shouting]

All: AAAaaaaaaaaaaaaaa!!!
Bhaago ye konsa bada sa jaanwar ghus aaya hai.
Yahan lakadbaghha aagaya hai.
Sher to piche kheto me hai.
Maaro in janwaron ko.

[Everyone is silent. Then one by one they speak.]

Maine siyaar ko maar diya.
Maine sher ko ghayal kar diya.
Sab bade jaanwar bhaag gaye, magar bahut barbadi hui.

[Half of them are standing and half are sitting with their hands on their forehead as if
tensed]

1st kid: Prakrati ki saath ched-chad na ki hoti
Aur karte ek dusre se pyar sab
Na hoti koi barbadi kahin bhi
Aur khush-haal hota ye sansar bahut

2nd kid: Duniya me bahut hain jagah ghar banana ki
Kyu in janwaron ko beghar karein hum
Karte hain wada apne aap se aao sab
Mil jul ke rahengein ab sath me hum

Everyone start moving in the circle and singing

Janwaro ki raksha karna
Karenge hum sankalp yehi
Warna dharti krodhit hogi
Mar na jaaye hum bhi kahin

[Sing this last one at least twice.]

The End

Comments

Popular posts from this blog

Hidden Love

Jinhe naaz hai hind pe wo kahan hai???

My God.