Wildlife Nukkad Natak
The children will enter while clapping loudly. They will sit in a circle and two of them will come and stand in the middle. 1st kid: Jaanwaro ki hoti nahi humari jaisi bhasha Par karna chahte hai woe k chhoti si asha Aao hum inki bhasha ban jaate hai Kyu hain ye pareshan aj tumko batlate hain 2nd kid: Dekhe hain humne kai janwar aise Khatarnak bhaalu aur sher jaise Jab hum rahene lagenge inko gharo me To ye batao ye jayengein kahan pe [The kids go n sit in the circle. Two other kids come in the middle] 3rd kid: (cutting an imaginary tree) 4th kid: Arey ye kya kar rahe ho? 3rd kid: Dikhta nahi? Main pedo ko kaat raha hu. Is jungle ko khatam kar ke isko ek kula maidan bana raha hu. 4th kid: Magar aisa kaam tum kyu kar rahe ho? Agar in pedo ko kaat doge to ye chidiyan kahan apna ghonsla banayengi? Ye apne aur apne bacho ke liye kahan se khaana layengin? 3rd kid: Uffo! Chidiyon ko bolo kahin aur ja ke ghonsla banaye. Kisi aur jagah se khana le kar aayein. 4th kid: Aur wo janwar, unka kya? ...